kaisa jadu kaisa fitna dhyan mein rakkha gaya dil mein kya aaya ki dil insan mein rakkha gaya bawajud is ke ki kuchh le kar nahin jaunga main jaane kya kya kuchh mere saman mein rakha gaya so sarabon ka bharam rakhne ki khatir yun hua ek nakhlistan registan mein rakkha gaya raat-bhar jab roya panchhi kali chhat ko dekh kar ek nila aasman zindan mein rakkha gaya khali kamre aur bhi chhote nazar aane lage jaise hi har chiz ko dalan mein rakkha gaya jo nahin tha kaam ka wo ghar mein hi rakhna pada kaam ke saman ko dukan mein rakkha gaya nam sunte hi kisi ka muskura deta tha wo zikr mera bhi usi muskan mein rakkha gaya faeda hote hi chal deta main aisa tha nahin phir bhi jaane kyon mujhe nuqsan mein rakkha gaya us se thi ummid sochega mere bare mein bhi so usi ki sharton ko paiman mein rakkha gaya