kahan tak aur is duniya se darte hi chale jaana bas ab hum se nahin hota mukarte hi chale jaana main ab to shahr mein is baat se pahchana jata hun tumhaara zikr karna aur karte hi chale jaana yahan aansu hi aansu hain kahan tak ashk ponchhoge tum us basti se guzro to guzarte hi chale jaana meri khatir se ye ek zakhm jo mitti ne khaya hai zara kuchh aur thahro is ke bharte hi chale jaana wafa-na-ashna logon se milna bhi aziyyat hai hue aise to is dil se utarte hi chale jaana