jama hain sare musafir na-khuda-e-dil ke pas kashti-e-hasti nazar aati hai ab sahil ke pas sarban kis justuju mein hai yahan majnun kahan ab bagula bhi na bhatkega tere mahmil ke pas ibtida-e-ishq yani ek mohlik hadsa aa gai hasti yakayak maut ki manzil ke pas neamaton ko dekhta hai aur hans deta hai dil mahw-e-hairat hun ki aakhir kya hai mere dil ke pas ye tere dast-e-karam ko khinch lega ek din ai khuda rahne na de dast-e-dua sail ke pas