kab us ke dar pe main ne dil ki saughat-e-giran rakh di taqaza-e-mohabbat ne jahan chaha wahan rakh di meri be-tabiyon ne kar diya bechain tum ko bhi tumhaari har ada mein kab mohabbat ne zaban rakh di hua kya barq ne gar phunk dala aashiyan mera ki main ne shakh-e-gul par phir bina-e-ashiyan rakh di jigar mein hai abhi dam-kham abhi hai tab zakhmon ki ye kyon phir tir barsate hue tu ne kaman rakh di zara se dil ko kya kya wusaten tu ne khudaya din yahin fikr-e-jahan rakh di yahin fikr-e-butan rakh di rahun garm-e-safar umr-e-rawan ke lahze lahze mein muqaddar ne meri manzil hi benam-o-nishan rakh di kabhi sadqe wafaon ke karam ki ek nazar bhi ho jafa hi mahz kyon hisse mein mere mehrban rakh di khusha wo waqt jab gahwara-e-ulfat mein hum bhulen man-o-tu ki tamiz ab kyon dilon ke darmiyan rakh di sabab khulta nahin kuchh yasmin-o-gul ki chashmak ka bina kaisi chaman-bandi ki tu ne baghban rakh di 'habib' in aansoon ko dekh mat chashm-e-hiqarat se ki har qatre mein main ne dard ki ek dastan rakh di