tum ne jab mujh se bichhadne ki tamanna ki thi main ne tufan se ladne ki tamanna ki thi aandhiyan mere darakhton ko girane aain main ne bhi dhup se ladne ki tamanna ki thi phul ko us se kudurat hai to bas is liye hai us ne titli ko pakadne ki tamanna ki thi bagh ke pedon ki is rukhi tabiat ke sabab sabz patton ne bhi jhadne ki tamanna ki thi ghas ko teri nazakat ka koi ilm na tha bas tere panw mein padne ki tamanna ki thi main ne ek roz khudaon ka takabbur toda aur khudai ne akadne ki tamanna ki thi mo'atabar thahre mere des mein jab be-hunare main ne us waqt bigadne ki tamanna ki thi usi parwane ke dushman hain bahut se afrad jis ne ek shama jakadne ki tamanna ki thi aql ko main ne kahin sine mein girwi rakh kar sari duniya ke ujadne ki tamanna ki thi aap kahte hain to khamosh hi rahte hain hum par talluq ne jhagadne ki tamanna ki thi baiza-e-chashm mein ek roz samane ke liye puri duniya ne sukadne ki tamanna ki thi