jal bujha hun main magar sara jahan tak mein hai koi tasir to maujud meri khak mein hai khenchti rahti hai har lamha mujhe apni taraf jaane kya chiz hai jo parda-e-aflak mein hai koi surat bhi nahin milti kisi surat mein kuza-gar kaisa karishma tere is chaak mein hai kaise thahrun ki kisi shahr se milta hi nahin ek naqsha jo mere dida-e-namnak mein hai ye ilaqa bhi magar dil hi ke tabe thahra hum samajhte the aman gosha-e-idrak mein hai qatl hote hain yahan nara-e-elan ke sath waza-dari to abhi aalam-e-saffak mein hai kitni chizon ke bhala nam tujhe ginwaun sari duniya hi to shamil meri imlak mein hai raegan koi bhi shai hoti nahin hai 'alam' ghaur se dekhiye kya kya khas-o-khashak mein hai