khwah kar insaf zalim khwah kar bedad tu par jo fariyaadi hain un ki sun to le fariyaad tu dam-ba-dam bharte hain hum teri hawa-khwahi ka dam kar na bad-khuon ke kahne se hamein barbaad tu kya gunah kya jurm kya taqsir meri kya khata ban gaya jo is tarah haq mein mere jallad tu qaid se teri kahan jaenge hum be-baal-o-par kyun qafas mein tang karta hai hamein sayyaad tu dil ko dil se rah hai to jis tarah se hum tujhe yaad karte hain kare yun hi hamein bhi yaad tu dil tera faulad ho to aap ho aaina-war saf yak-bari sune meri agar rudad tu shad o khurram ek aalam ko kiya us ne 'zafar' par sabab kya hai ki hai ranjida o nashad tu