sarab-e-zist mein simta hua hun samundar hun magar qatra-numa hun khuda se mil ke khud main aa gaya hun ab aaine ko sajda kar raha hun tumhein bhi dost apna jaanta hun badi khush-fahmiyon mein mubtala hun junun hun ya khirad ki intiha hun na samjha aaj tak khud bhi main kya hun haqiqat ko fasana kaise kah dun fasane ko haqiqat kah chuka hun zamana mujh mein khud ko dekhta hai hazaron suraton ka aaina hun