jala diya shajar-e-jaan ki sabz-bakht na tha kisi bhi rut mein hara ho ye wo darakht na tha wo khwab dekha tha shahzadiyon ne pichhle pahar phir us ke baad muqaddar mein taj o takht na tha zara se jabr se main bhi to tut sakti thi meri tarah se tabiat ka wo bhi sakht na tha mere liye to wo khanjar bhi phul ban ke utha zaban sakht thi lahja kabhi karakht na tha andheri raaton ke tanha musafiron ke liye diya jalata hua koi saz-o-rakht na tha gae wo din ki mujhi tak tha mera dukh mahdud khabar ke jaisa ye afsana lakht-lakht na tha