'shuur' waqt pe dil ki dawa hui hoti to aaj fikr na hoti shifa hui hoti murawwatan bhi agar aap aa gae hote tamaniyyat hamein be-intiha hui hoti na jaane kitne baras ho gae fughan karte kabhi to dad-rasi ai khuda hui hoti na tha nasib mein dil ki murad bar aana to kash sabr ki aadat ata hui hoti hamara haal tumhaari samajh mein aa jata agar kisi se mohabbat zara hui hoti hum apne-ap se rahte na be-khabar to bhala hamari surat-e-haalat kya hui hoti 'shuur' aap ki aamad se lakh behtar tha gharib-khane pe nazil bala hui hoti