manus ho chuke hain tere aastan se hum ab zindagi badal ke uthenge yahan se hum tanhaiyan dilon ki bhala kis tarah miten kuchh ajnabi se aap hain kuchh bad-guman se hum ab aalam-e-sukut hi rudad-e-ishq hai kuchh arz-e-haal kar nahin sakte zaban se hum hai raaz-e-bahar-e-ishq ajab hairat-afrin ye dekhna hai dub ke ubhren kahan se hum barbaad bar bar nasheman hua magar ghafil hain aaj tak nigah-e-baghban se hum milta kisi nazar ka sahaara agar hamein thakte na yun hayat ke bar-e-giran se hum hasil hua wo lutf asiri mein ai 'nasim' ta umr be-niyaz rahe aashiyan se hum