jala ke mujh ko ajab moajiza dikhaya gaya meri hi rakh se paikar naya banaya gaya mere hi tir chalae gae meri jaanib mere khilaf mera zor aazmaya gaya bitha ke pahle mujhe ek azim mansab par mere khilaf ajab faisla sunaya gaya is aab-o-tab ke pichhe bhi ek kahani hai main pahle sang tha phir aaina banaya gaya mujhe karai gai pahle ek shahr ki sair phir us mein mujh ko mera asl ghar dikhaya gaya dubo ke khun mein bandhi gai mujhe talwar kis ehtimam se main takht par bithaya gaya mujhe sata ke bhi kab khush hue mere munkir main is pe khush hun mera sabr aazmaya gaya ata hui hai ajab tarah khwajgi 'asif' tarash kar mere bazu alam thamaya gaya