zindagani hai meri teri nazar hone tak raushni shama ki hai nur-e-sahar hone tak umr-e-do-roza par aur mal pe beja hai ghurur der lagti hai kahan khak bashar hone tak aa hi jaen na kahin baad-e-khizan ke jhonke waqt darkar hai phulon ko samar hone tak sans ki aamad-o-shud hai na dawami hargiz is ki raftar bhi hai dard-e-jigar hone tak zarre zarre mein badal jaenge ye shams-o-qamar zarre zarre bhi to hain shams-o-qamar hone tak dosh aur pusht ki zinat hai jo zulf-e-pechan hai pareshan bahut zeb-e-kamar hone tak aag hai dil mein lagi sina bana hai bhatti rakh ho jaunga main dida-e-tar hone tak shakl-e-insan mein har insan kahan hai insan aadamiyyat ka sharaf to hai bashar hone tak na-tawanon ko bhi kamzor na jaano hargiz pani pani hai faqat barq-o-sharar hone tak ek fa'al hararat ki zarurat bhi to hai khak-e-namnak ko khisht aur hajar hone tak maut kahte hain jise hai wo hayat-e-abadi maut hai lazim-o-malzum amar hone tak jaan bhi jaan hai jab tak hai badan ke andar jism hai jism-e-hasin nau-e-digar hone tak hath ab khinch hi lo aah-o-fughan se 'arshad' kya na mar jaoge tum in mein asar hone tuk