mere hi jaisa koi us par tha

mere hi jaisa koi us par tha
aankh thi ya rauzan-e-diwar tha

ulti jaanib bah rahi thin kashtiyan
aur hawa ke hath mein patwar tha

aankh utha kar dekhta kyon aks ko
aaine ka bhi koi mear tha

panw dharne ko mili aisi zamin
panw dharna bhi jahan dushwar tha

baat karte ja rahe the aaine
mahw-e-hairat aaina-bardar tha

dekhta rahta tha aankhen mund kar
nind mein tha ya koi bedar tha

puchhte ho kya bulandi ka sabab
zer-e-pa 'asif' faraaz-e-dar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close