kajal sham ki aankh se Dhalke aanchal tere shane se

kajal sham ki aankh se dhalke aanchal tere shane se
aur zara gham bhi le aaen yaadon ke virane se

kya us ne socha hoga jab khat mera pahuncha hoga
soch raha hun dekh aaun main ja kar kisi bahane se

chahat ke do badan shahar mein alag alag kyon rahte hain
takrane ki himmat bhi thi jab be-dard zamane se

sone chandi ki diwaren dah dena aasan na tha
lekin tum to bahak gae is duniya ke bahkane se

ujad gai jab pyar ki mahfil chale gae sab dil wale
tanha rahe bahal raha hai mazi ke afsane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close