kidhar jaun kahin rasta nahin hai kahan dubun ki dil dariya nahin hai idhar baadal kabhi barsa nahin hai jahan tak shakh hai patta nahin hai use chhat par khade dekha tha main ne ki jis ke ghar ka darwaza nahin hai wahi hai ghonsla chimni ke pichhe magar chidiyon ka wo joda nahin hai badan ke loch tak aazad hai wo use tahzib ne bandha nahin hai tere honton ko chhu dekhun to kahiyo mere honton mein kya aisa nahin hai badan dhanpe hue phirta hun yani hawas ke nam par dhaga nahin hai sabhi insan farishte ho gae hain kisi diwar mein saya nahin hai main is darja muazzaz ho gaya hun wo mere samne hansta nahin hai