ye jo meri lai aur lafzon ke rangin tane-bane hain sunne walon ghaur na karna sare rag purane hain sunne walo ghaur na karna warna khul hi jaenge kitne khali bhed hamare jo kab se afsane hain sunne walon ghaur na karna warna pata chal jaega hum ne jitne bagh sajae wo ab tak virane hain sunne walo ghaur na karna warna saf samajh loge hum ne jitne nam liye the aaj bhi sab anjaane hain sunne walo ghaur na karna warna khafa ho jaoge jin ko hum ne dost kaha hai hum un se begane hain sunne walo ghaur na karna warna hamein thukra doge hum andar se sakht kamine bahar se diwane hain sunne walo ghaur na karna hum be-sar ho jaenge jab tak tum sar dhunte rahoge sare git suhane hain sunne walo ghaur na karna warna hum khud kah denge hum ab sher nahin kah sakte ye sab sher bahane hain