jis ko hona hai wo in aankhon se ojhal ho jae us se pahle ki mera kaam mukammal ho jae main to bas dekhta rahta hun zaminon ke katao aadmi sochne wala ho to pagal ho jae kahin aisa na ho virane hon phir se aabaad kahin aisa na ho har shahr hi jangal ho jae ye zamin jis pe hai gulzaron ki tadad bahut ye bhi ho sakta hai kal ko wahi maqtal ho jae reg-zaron se bukharaat hi uthte hain magar kaun jaane ki ye garmi koi baadal ho jae mera pindar hi diwar hai nakaami ki ye jo gir jae to har khwab mukammal ho jae