rah gae ashkon mein lakht-e-jigar aate aate ruk gae bahr se lal-o-gohar aate aate tham gae qatra-e-khun-e-jigar aate aate ruk gae mujmar-e-dil se sharar aate aate hote hote na hua misra-e-rangin mauzun band kyun ho gaya khun-e-jigar aate aate tham gae ashk mere aankh se dhalte dhalte rah gae chashm-e-sadaf se guhar aate aate rah gaya kahne pe ghammazon ke sun sun ke meri phir gaya yar mera rah par aate aate de diya naqd-e-dil us but ko baghair az jaane ho gaya rah mein kaisa zarar aate aate dekhte dekhte dekhenge mere jauhar-e-taba aaenge aaenge ahl-e-nazar aate aate kya bhara zang-e-kudurat se ye aaina-dil jo nazar aae na wo phir nazar aate aate gardish-e-chashm ne kis ko tah-o-baala na kiya ho gae zer-o-zabar rah par aate aate ashk-e-khuni nahin aate hain jo aankhon se teri kyun ruki 'muntahi' dil ki khabar aate aate