jawani ke tarane ga raha hun dabi chingariyan sulga raha hun meri bazm-e-wafa se jaane walo thahar jao ki main bhi aa raha hun buton ko qaul deta hun wafa ka qasam apne khuda ki kha raha hun wafa ka lazmi tha ye natija saza apne kiye ki pa raha hun khuda-lagti kaho but-khane walo tumhaare sath mein kaisa raha hun zahe wo gosha-e-rahat ki jis mein hujum-e-ranj le kar ja raha hun charagh-e-khana-e-darwesh hun main idhar jalta udhar bujhta raha hun nae kabe ki buniyaadon se puchho purane but-kade kyun dha raha hun nahin kante bhi kya ujde chaman mein koi roke mujhe main ja raha hun hui jati hai kyun betab manzil musalsal chal raha hun aa raha hun 'hafiz' apne parae ban rahe hain ki main dil ko zaban pe la raha hun