na mujhe rok saka aap ka darban koi khinchta tha koi daman to gareban koi sunne wala nahin jab haal-e-pareshan koi to kahe kis liye apna gham-e-pinhan koi husn par apne sar-e-bazm hai nazan koi surat-e-aina hai dekh ke hairan koi aatish-e-husn ka rukh par ye dhuan hai jis ko khat samajhta hai koi zulf-e-pareshan koi sham se ye jo sanwarte hain tumhaare gesu jama-khatir koi hoga to pareshan koi dekh kar aalam-e-wahshat mein meri hairani koi khandan hai to angusht-ba-dandan koi su-e-dar aaj ye kyon aankh lagi hai 'sabir' muntazir kis ke ho kya aaega mehman koi