jalwa-gar aaj hai wo mehr-e-munawwar ki tarah bakht apna bhi chamakta hai sikandar ki tarah us ki raftar hai bas mauja-e-kausar ki tarah guftugu mein hai khanak shisha-o-saghar ki tarah kis ko yara-e-sukhan hai use hum bhi dekhen wo mukhatab hai magar dawar-e-mahshar ki tarah kya khabar log kise apna khuda kah denge lakh but hum ne tarashe to hain aazar ki tarah kis pe is daur-e-pur-ashob mein takiya kije rahzan bhi to nazar aate hain rahbar ki tarah manzil-e-faqr-o-ghina kya hai ye hum se puchho zindagi hum ne guzari hai qalandar ki tarah kitne tufan hain pinhan koi dekhe to 'habab' maujzan hai dil-e-shair bhi samundar ki tarah