jalwon se mere hosh udane mein lage hain wo phir mujhe diwana banane mein lage hain mar-mar ke kiye jate hain hum yaad unhen yan aur wo hamein wan dil se bhulane mein lage hain wo aae kare kaun pazirai ab un ki arman to yahan dhum machane mein lage hain phir dasht-e-talab aaj hai bebaki pe mail wo daman-e-naz apna chhudane mein lage hain main hun ki mita jata hun har baat pe un ki aur wo hain ki dil mera dukhane mein lage hain 'sahir' jinhen main ne diya mahbubi ka rutba wo nam-o-nishan mera mitane mein lage hain