jam-e-tahi lahraya hum ne kaisa jashn manaya hum ne raat hawa ke sath nikal kar halqa-e-dar khadkaya hum ne chup galiyon mein din aawazen shahr mein shor machaya hum ne khak the lekin lahar mein aa kar raqs-e-junun farmaya hum ne dekhen kab hon ishq mein kundan rakh to kar di kaya hum ne umr-e-sharar bekar na guzri pal bhar to chamkaya hum ne sab ko nishana karte karte khud ko mar giraya hum ne tum se mile to khud se ziyaada tum ko akela paya hum ne apne sar ki aan pe wari panw se lipti maya hum ne ai shab-e-hijran ab to ijazat itna sath nibhaya hum ne