jite hain kaise aisi misalon ko dekhiye parda utha ke chahne walon ko dekhiye kya dil jigar hai chahne walon ko dekhiye mere sukut apne sawalon ko dekhiye ab bhi hain aise log ki jin se sabaq mile dil murda hai to zinda misalon ko dekhiye kya dekhte hain aap bahaar-e-numu abhi jab ediyan tak aaen to baalon ko dekhiye tabqe zamin ke hon ki auraq-e-asman qudrat ke dil-fareb risalon ko dekhiye himmat ko dekhiye ki wahi mard-e-kar hai faujon ko dekhiye na risalon ko dekhiye taqlid kyun khayal-o-zaban mein kisi ki ho apne khayal apne maqalon ko dekhiye dushman pe bhi nigah rahe aib mein hai wo ye kya ki sirf chahne walon ko dekhiye ho sarsari na gor-e-ghariban pe ek nazar un ke dimagh un ke khayalon ko dekhiye saqi ki chashm-e-mast ka nazzara kijiye sahba ko dekhiye na piyalon ko dekhiye dil dekhiye ki takmila-e-shauq ho 'aziz' masjid ko dekhiye na shiwalon ko dekhiye