ji ko rog laga baitha ji ke rog se marta hun is mein kisi se shikwa kya apni karni bharta hun tark-e-gunah ai waiz-ji dil se nahin majburi hai aap khuda se darte hain main duniya se darta hun duniya se kuchh faiz na tha duniya ko taj baitha hun allah se ummiden hain allah allah karta hun dur to hat jaun lekin fikr-e-mohabbat ne mara behad nazuk rishta hai tut na jae darta hun kawish-e-paiham aakhir tak hasil-e-marg-e-mayusi ye bhi koi jina hai kis jine par marta hun