kar diya pani jigar aur dil ko dariya kar diya ye mazaq-e-gham ne kya tufan barpa kar diya ye teri ummid ne kya haal mera kar diya zindagi to zindagi dushwar marna kar diya ho na ho kuchh baat to hai niyyat-e-wada ba-khair chandni ne kyon mere ghar mein andhera kar diya ek shoala hi sahi ulfat magar ehsan ye hai jada-e-tarik-e-hasti mein ujala kar diya yas ki paiham karishma-saziyon ka shukriya nagawara ranj-e-furqat ko gawara kar diya rafta rafta khinch ke ek nuqte mein duniya aa gai jab quyud-e-dahr se dil ko mubarra kar diya nara-e-al-ishq-e-rabbi lab pe har zarre ke hai tur-e-dil ki wadiyon mein kis ne jalwa kar diya iltifat-e-husn-o-kaif-e-ishq-o-aish-e-wasl-e-dost gardish-e-ayyam ne in sab ko sapna kar diya par khud hi kar diya amwaj-e-tufan ne mujhe 'mauj' main ne khud ko jab be-dast-o-be-pa kar diya