kahan the aise ki ab jaise khadd-o-khal hue ba-rang-e-sabza-e-tar the ki paemal hue ghurur-e-mehr ka uqda khula kahan ja kar hamare jism ki jab aaina-misal hue misal-e-shabnam-e-awara hi baras ki badan hawa-e-gard-e-talab se bahut nidhaal hue dilon mein aaj bhi naqsh-o-nigar zinda hain wo jin ko bichhde hue hum se kitne sal hue wo umr hum ne khayalon ko khwab mein dhaala wo umr guzri to wo khwab phir khayal hue tumhaare bare mein hum se hamesha puchha gaya hamare bare mein tum se kabhi sawal hue khushi se palte hain apni aastin mein sanp khusha ki hazrat-e-'iqrar' ba-kamal hue