jitne din ka sath likha tha sat rahe ab kuchh din to aankhon mein barsat rahe ab na-shukri karna aur moamla hai hasil hum ko ishq raha samraat rahe andar ki dewi ne ye chumkar kaha narm hai dil to kahe lahja dhat rahe tum waise ke waise ho to la-yani mana qurbani bhi ki arfat rahe ek akele shakhs ka kaam nahin lagta shamil us ke sath kai jinnat rahe ek bhi dil jo tum taskhir na kar pae kya paya jo hasil kaenat rahe hum the bechaini ke halqe aur sukut din mein thodi chhut mili to raat rahe shahon ki shah-kharchi kam na ho pai hum jaison ke jaise the haalat rahe 'hasrat' in aankhon mein chashme phut pade jitna chup rah sakte the jazbaat rahe