janaza dhum se us aashiq-e-jaan-baz ka nikle tamashe ko ajab kya wo but-e-dam-baz aa nikle agar diwana tera jaanib-e-kohsar ja nikle qubur-e-wamiq-o-majnun se shor-e-marhaba nikle abhi tifli hi mein wo but namuna hai qayamat ka jawani mein nahin malum kya nam-e-khuda nikle kahan wo sard-mehri thi kahan ye garm-joshi hai ajab kya is karam mein bhi koi tarz-e-jafa nikle mera afsana hai majzub ki bad gar koi dhunde na zahir ho khabar us ki na us ka mubtada nikle wo mere lashe par bole nazar yun pher kar mujh se chale huron se tum milne nihayat bewafa nikle hamara dil hamari aankh donon un ke maskan hain kabhi us ghar mein ja dhamke kabhi is ghar mein aa nikle pada kis kashmakash mein yar ke ghar raat main ja kar na uth kar muddai jae na mera muddaa nikle tadapta hun bujha de pyas meri aab-e-khanjar se ki mere dil se ai qatil tere haq mein dua nikle dikha kar zahr ki shishi kaha 'ranjur' se us ne ajab kya teri bimari ki ye hakmi dawa nikle