nazar jin ki ulajh jati hai un ki zulf-e-pechan se wahi badh kar lipat jate hain aksar mauj-e-tufan se agar sharma raha hai mehr-e-taban husn-e-jaanan se shafaq bhi to khajil hai surkhi-e-khun-e-shahidan se mere josh-e-junun ko chhedta hai kis liye hamdam uthengi aandhiyan lakhon ishaare hain bayaban se dubo kar dekh kashti-e-tamanna bahr-e-hasti mein ubhar aaega khud sahil kisi nau-khez tufan se mujhe marna mubarak bas tamanna hai to itni hai bujha den wo charagh-e-zindagi khud apne daman se sambhal kar rahrawan-e-rah-e-ulfat sakht manzil hai sadaen aa rahi hain aaj tak gor-e-ghariban se hujum-e-yas hi 'iqbaal' tamhid-e-masarrat hai khushi ka bab khulta to hai lekin gham ke unwan se