jashn-e-gham-e-hayat manane nahin diya is muflisi ne zahr bhi khane nahin diya hum ne jo sada-lauhi mein khaya koi fareb phir wo fareb auron ko khane nahin diya aandhi ne raushni ki himayat to ki bahut lekin koi charagh jalane nahin diya ik-adh ghar to jal gaya par shahr bach gaya ab ke diye ka sath hawa ne nahin diya raazi tha main bhi aur mera dushman bhi sulh par kuchh doston ne hath milane nahin diya