jis din tum aa ke hum se ham-aghosh ho gae shikwe jo dil mein the so faramosh ho gae saqi nahin hai saghar-e-mai ki hamein talab aankhen hi teri dekh ke behosh ho gae sunne ko husn-e-yar ki khubi ba-rang-e-gul aaza mere badan ke sabhi gosh ho gae karte the apne husn ki tarif gul-rukhan us lala-ru ko dekh ke khamosh ho gae ai jaan dekhte hi mujhe dur se tum aaj ye kaun si ada thi ki ru-posh ho gae rahte the be-hijab mere pas jin dinon we roz hae tum ko faramosh ho gae duniya o din ki na rahi hum ko kuchh khabar hote hi us ke samne behosh ho gae 'bedar' bas-ki roe hum us gul ki yaad mein sar-ta-qadam sarishk se gul-posh ho gae