zehn par chha gai maut ki be-hisi nind aane lagi dhundhta hun andheron mein aasudgi nind aane lagi bhagte bhagte maut ke sae se khud hi dhundla gae sochte sochte zindagi zindagi nind aane lagi hain isi ahd mein so tasawwur hasin koi apna nahin thak gai hai mere shauq ki sadgi nind aane lagi khatm hain roz-o-shab ki pareshaniyan aur hairaniyan thi wo kya shai jo ab tak nahin mil saki nind aane lagi hairat-angez rangon mein lipti hui muztarib naghmagi aaj tak apni lai mein nahin dhal saki nind aane lagi hauslon ka hi anjam hain tajarbe bas bhare aashti aashti aashti aashti nind aane lagi kya mila naghm-o-rang ke shauq se sher ke zauq se ek chubhan ek dukhan ek wamandgi nind aane lagi