jati hai dhup ujle paron ko samet ke zakhmon ko ab ginunga main bistar pe let ke main hath ki lakiren mitane pe hun ba-zid go jaanta hun naqsh nahin ye salet ke duniya ko kuchh khabar nahin kya hadisa hua phenka tha us ne sang gulon mein lapet ke fawware ki tarah na ugal de har ek baat kam kam wo bolte hain jo gahre hain pet ke ek nuqrai khanak ke siwa kya mila 'shakeb' tukde ye mujh se kahte hain tuti plate ke