jis dam qafas mein mausam-e-gul ki KHabar gai

jis dam qafas mein mausam-e-gul ki khabar gai
ek bar qaidiyon pe qayamat guzar gai

dhundla gae nuqush to saya sa ban gaya
dekha kiya main un ko jahan tak nazar gai

behtar tha main jo dur se phulon ko dekhta
chhune se patti patti hawa mein bikhar gai

kitne hi log sahib-e-ehsas ho gae
ek be-nawa ki chikh bada kaam kar gai

tanhaiyon ke shahr mein kaun aaega 'shakeb'
so jao ab to raat bhi aadhi guzar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close