jauhar-e-pak tera KHak mein gar KHak na ho

jauhar-e-pak tera khak mein gar khak na ho
ta-abad lab pe tere shikwa-e-aflak na ho

aabru-rez-e-khudi ho na agar tu khud hi
umr bhar aankh teri ashk se namnak na ho

hai teri sokhta-samani hi se us ka wajud
shoala rahta hai kahan jab khas-o-khashak na ho

azm-e-taskhir ke jazbaat hon aankhon mein agar
munharif tujh se kabhi fitrat-e-chaalak na ho

rashk-e-jannat ho kahan jauhar-e-dana ki numud
hath se apne agar us ka jigar chaak na ho

is haqiqat ko khudara nazar-andaz na kar
sard ho jata hai wo shoala jo bebak na ho

ghair-mumkin hai 'amin' hal ho moamma-e-hayat
dil agar pak na ho dida-e-darrak na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close