kawish-e-gham bhi hai zalim aur teri yaad bhi ye dil-e-muztar mera viran bhi hai aabaad bhi kya sazaen sochi hain kuchh kijiye irshad bhi lijiye hazir hun main bhi aur dil-e-nashad bhi roz ek taza sitam wo bhi nae andaz se dad le hi chhodti hai aap ki bedad bhi did ke qabil agar hai be-sutun par ju-e-shir ek sabaq ibrat ka hai khun-e-sar-e-farhad bhi ye na puchho kis tarah kab kis liye kis waste bas ye kafi hai wahan hoti hai meri yaad bhi pahli hi manzil mein dekho us ne himmat haar di aasman sar par utha kar rah gai fariyaad bhi bulbulon ka puchhna ghabra ke ye sayyaad se hum asiran-e-qafas honge kabhi aazad bhi imtihan hum sakht-jaanon ka koi kya khel tha dekho pani ho gaya ab khanjar-e-faulad bhi jis tarah tujh ko mile hain aish-o-rahat ke sharik mil rahega koi mujh nashad ko nashad bhi the sitamgar ab zamane ki rawish ko dekh kar rafta rafta ho gae tum to sitam-ijad bhi jis ke khwahan the hasin jis dil pe mujh ko naz tha kuchh khabar bhi hai tumhein wo ho gaya barbaad bhi tang-dil rakhta hai zalim har ghadi tu kyon mujhe dar hai ghut ghut kar na ukta jae teri yaad bhi ghair jhuta hai bhala main bewafa tum ko kahun us ki ranjish kya na ho jis baat ki buniyaad bhi wada-e-mahshar wo kar ke khud hi yun kahne lage ho to sab kuchh jab rahe is bhid mein kuchh yaad bhi kaam aa jati hai aksar ishq mein diwangi main agar samjho to hun paband bhi aazad bhi main ne dekha hai mohabbat ka asar donon tarah ye kabhi aabaad karti hai kabhi barbaad bhi na-tawani ka bura ho wo to aae waqt-e-naza ruk gai honton tak aa kar aakhiri fariyaad bhi ai 'fahim' us shokh ki hain sab adaen intikhab ba-maza hai us sitam-ijad ki bedad bhi