kya khabar thi aatishin aab-o-hawa ho jaunga khak o khun ka mustaqil main silsila ho jaunga ibtida hun aap-apni intiha ho jaunga barishon ka qurb pa kar phir hara ho jaunga jhadiyon ki ungliyan lapkengi gardan ki taraf pahli shab ke aakhiri pal ki dua ho jaunga aasman ki samt utthenge bagule aur main rafta rafta ek maqam-e-gum-shuda ho jaunga chilchilati dhup mein apna sarapa dekh kar raat ki tanhaiyon ka waswasa ho jaunga kuchh na kuchh khota chala jaunga ek ek mod par aur phir main ek din tera kaha ho jaunga khurdure aur khokhle bargad ka bazu tham kar subh-e-simin ka maal-e-tai-shuda ho jaunga jab koi jhukne lagega sham ki dahliz par gumbad-e-mauhum ka main mubtana ho jaunga phadphadate dekh kar taron mein kaftar ko 'nizam' ungliyon ki uljhanon mein mubtala ho jaunga