lamba safar hai sud-o-ziyan dekhte raho tum inqalab-e-kaun-o-makan dekhte raho aankhen karoge band to utthengi ungliyan daur-e-bahaar ho ki khizan dekhte raho aaina dil ka hai jo shikasta to kya hua tum ab kamal-e-shisha-garan dekhte raho aaseb ki misal hain ye raste tamam jae bhatak ke kaun kahan dekhte raho dil aur shama donon barabar hain sokhta uthta hai kis jagah se dhuan dekhte raho