kabhi zamin pe kabhi aasman pe chhae ja ujadne ke liye bastiyan basae ja khizar ka sath diye ja qadam badhae ja fareb khae hue ka fareb khae ja teri nazar mein sitare hain ai mere pyare udae ja tah-e-aflak khak udae ja nahin itab-e-zamana khitab ke qabil tera jawab yahi hai ki muskurae ja anadiyon se tujhe khelna pada ai dost sujha sujha ke nai chaal mat khae ja sharab khum se diye ja nasha tabassum se kabhi nazar se kabhi jam se pilae ja