jawani kya hui ek raat ki kahani hui

jawani kya hui ek raat ki kahani hui
badan purana hua ruh bhi purani hui

koi aziz nahin ma-siwa-e-zat hamein
agar hua hai to yun jaise zindagani hui

na hogi khushk ki shayad wo laut aae phir
ye kisht guzre hue abr ki nishani hui

tum apne rang nahao main apni mauj udun
wo baat bhul bhi jao jo aani-jaani hui

main us ko bhul gaya hun wo mujh ko bhul gaya
to phir ye dil pe kyun dastak si na-gahani hui

kahan tak aur bhala jaan ka hum ziyan karte
bichhad gaya hai to ye us ki mehrbani hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close