wo mere zehn pe itna sawar ho gaya tha

wo mere zehn pe itna sawar ho gaya tha
main kam-sini mein junun ka shikar ho gaya tha

karega kaun teri wusaton ka andaza
jo ham-kanar hua be-kanar ho gaya tha

tamam umr phir apni talash mein guzri
main apne aap se ek din farar ho gaya tha

mujhe ganwa ke liya dil ne sujh-bujh se kaam
fuzul-kharch kifayat-shiar ho gaya tha

bhatak raha tha koi sar-phiri hawaon mein
phir is ke baad supurd-e-ghubar ho gaya tha

mili thi man ki ghulami se ye sar-afraazi
ki baadshahon mein mera shumar ho gaya tha

mujhe bhi achchhe bure ki shanakht ho gai thi
'nasim' jin dinon be-rozgar ho gaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close