mere hone se pahunch jaega aaram ke sath nama-bar mujh ko bhi le chal mere paigham ke sath wo jo diwana sa galiyon mein phira karta hai yaad karte hain wo mujh ko magar ilzam ke sath yun nazar ka hua takrao ki tauba tauba hosh bhi ho gaya rukhsat dil-e-nakaam ke sath kis liye apne muqaddar pe mujhe fakhr na ho un ka diwana likha ho jo mere nam ke sath ai 'hayat' un ki nigahon ke tabassum pe nisar zindagi aur na guzregi ab aaram ke sath