khushnuma dhun pe raqam dard ke naghmat sa tha waqt-e-rukhsat bhi junun pahli mulaqat sa tha jism ke dasht mein raqsan the mahakte hue zakhm kal shab-e-hijr ka aalam shab-e-baraat sa tha dil ke dariya mein thirakta tha teri yaad ka chand shab ke honton pe tera zikr munajat sa tha main to ek umr faqat us ke taaqub mein raha jo meri zat mein maujud teri zat sa tha lams-e-akhir mere kashkol-e-badan ki khatir ek muflis ko mayassar hui khairaat sa tha main tere shokh labon par to abhi aaya hun is se pahle teri aankhon mein sawalat sa tha jagmagate hue jugnu na ziyan hota charagh raat mein kuchh bhi na tha jis ko kahen raat sa tha