kab khamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main tha ayan wo raaz-e-dil jis ko nihan samjha tha main sun raha hun apni khamoshi ka charcha ku-ba-ku thi fughan wo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main aarzi sa aks tha ek iltifat-e-dost ka jis ko nadani se aish-e-jawedan samjha tha main tum ne aankhen pher lin mujh se to ye mujh par khula khar-zar-e-zindagi ko gulistan samjha tha main wo bhi nikle barq-o-baad-o-baghban ki milkiyat chaar tinke jin ko apna aashiyan samjha tha main kar saken 'darshan' na wo bhi arz-e-haal-e-arzu jin nigahon ko mohabbat ki zaban samjha tha main