jigar khun ho ke bahar dida-e-giryan aawega yahi rona raha to aaj-kal tufan aawega khabar aate hi puchhe hai zalim baith ja yak-dam haqiqat sab kahunga mujh mein jab ausan aawega na hai ab khak-afshani na hairani na uryani junun gar aa gaya to le ke sab saman aawega padhunga pichhe nama mein khuda ke waste qasid ye kah awwal ki yan tak wo kisi unwan aawega na ja ai jaan tuk tu aur bhi ek raat is tan se suna hai kal ke din wo ghar mere mehman aawega kisi ki qadar jite-ji nahin malum hoti hai kare hai qatl par pichhe tujhe arman aawega gali mein us but-e-khun-khwar ki 'jurat' chala to hai wa-lekin wan se khun mein dekhna afshan aawega