jazba-e-shauq badhata hai juda ho jaana upri dil se zara mujh se khafa ho jaana qaus sajde mein jhuki rah gai jab se dekha un ki angdai ka mehrab-numa ho jaana dam ka kya thik hai dam-bhar mein hai dam-bhar mein nahin chalte phirte meri baalin pe zara ho jaana mausam-e-gul mein unhen ghair idhar le aae kaam aaya mere zakhmon ka hara ho jaana band hai 'ishq ke bandon ke liye aazadi qaid hai qaid-e-mohabbat se riha ho jaana un ke tewar bhi zara dekhte rahna qasid khat ke purze jo nazar aaen hawa ho jaana khel hai hasti-e-fani ka digar-gun ho kar nur mein nur fazaon mein faza ho jaana kuchh to ai rahmat-e-saqi rahe 'kaifi' ka khayal aa ke maikhane pe chhana to ghata ho jaana