khabar hai mahrumiyon se aage nikal chuka hai faqir viraniyon se aage nikal chuka hai hamein ye takid ki gai hai ki hanste rahiye so qahqaha siskiyon se aage nikal chuka hai ye kis taaqub mein bujh rahi hain hamari aankhen ye kaun binaiyon se aage nikal chuka hai maqam-e-hairat pe aql pahunchi khula muamma qayas hairaniyon se aage nikal chuka hai hawas mahlon mein aaj qindil jal bujhi hain pa ek diya aandhiyon se aage nikal chuka hai ai shoabda-gar khabar hai tujh ko ki shoabada-bin tere tamashaiyon se aage nikal chuka hai tabib aab-e-hayat lae hain kasa bhar lo mariz aasaniyon se aage nikal chuka hai qafas mein rah kar laga hai ji aise bediyon se asir aazadiyon se aage nikal chuka hai bayan ke jangalon mein jis ko talashte ho wo zabt ki wadiyon se aage nikal chuka hai sukhan-salakhen bhi zang-alud ho chuki hain shuur bhi qafiyon se aage nikal chuka hai fana ki bai'at mein aa chuka hai junun-e-'jaani' baqa ke ab zawiyon se aage nikal chuka hai