jazbon mein pahle jaisi sadaqat nahin rahi ab darmiyan hamare mohabbat nahin rahi bhuli hui hun kab se main khud ko bataun kya ab tujh ko yaad karne ki aadat nahin rahi kaisa saman hai kaisi ye fasl-e-bahaar hai shahr-e-wafa ke phulon mein nikhat nahin rahi wo bujh gai sitara-ada aankh kab ki dost dil mein kisi ke pyar ki hasrat nahin rahi teri wafa ne aisa sabaq de diya mujhe mujh ko kisi bhi zat se nafrat nahin rahi ai 'hadia' shuur-e-mohabbat jise diya ab wo hi kah raha hai ki ulfat nahin rahi